ye kya ki rang hathon se apne chhuDaen hum
ye kyā ki rang hāthoñ se apne chhuḌā.eñ ham
ilzām titliyoñ ke paroñ par lagā.eñ ham
hotī haiñ roz roz kahāñ aisī bārisheñ
aao ki sar se paañv talak bhiig jaa.eñ ham
uktā gayā hai saath ke in qahqahoñ se dil
kuchh roz ko bichhaḌ ke ab aañsū bahā.eñ ham
kab tak fuzūl logoñ pe ham tajrabe kareñ
kāġhaz ke ye jahāz kahāñ tak uḌā.īñ ham
kirdār-sāziyoñ meñ bahut kaam ā.eñge
bachchoñ ko vāqi'āt baḌoñ ke sunā.eñ ham
is kār-e-āgahī ko junūñ kah rahe haiñ log
mahfūz kar rahe haiñ fazā meñ sadā.eñ ham
'az.har' samā'ateñ haiñ latīfoñ kī muntazir
mahfil meñ apne she'r kise ab sunā.eñ ham
ye kya ki rang hathon se apne chhuDaen hum
ilzam titliyon ke paron par lagaen hum
hoti hain roz roz kahan aisi barishen
aao ki sar se panw talak bhig jaen hum
ukta gaya hai sath ke in qahqahon se dil
kuchh roz ko bichhaD ke ab aansu bahaen hum
kab tak fuzul logon pe hum tajrabe karen
kaghaz ke ye jahaz kahan tak uDain hum
kirdar-saziyon mein bahut kaam aaenge
bachchon ko waqi'at baDon ke sunaen hum
is kar-e-agahi ko junun kah rahe hain log
mahfuz kar rahe hain faza mein sadaen hum
'azhar' sama'aten hain latifon ki muntazir
mahfil mein apne she'r kise ab sunaen hum
- Book : jhunka na-e-mausam kaa (Pg. 50)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.