ye inqalāb bhī ai daur-e-āsmāñ ho jaa.e
mirā qafas bhī muqaddar se āshiyāñ ho jaa.e
ma.āl-e-zabt-e-fuġhāñ marg-e-nā-gahāñ ho jaa.e
kisī tarah to mukammal ye dāstāñ ho jaa.e
samajh to leñge vo mujh se agar bayāñ ho jaa.e
sukūt had se guzar jaa.e to ziyāñ ho jaa.e
qafas se duur sahī mausam-e-bahār to hai
asīro aao zarā zikr-e-āshiyāñ ho jaa.e
diyā hai dard to rañg-e-qubūl de aisā
jo ashk aañkh se Tapke vo dāstāñ ho jaa.e
zabān-e-ḳhushk bhī jumbish meñ lā nahīñ sakte
ye bebasī bhī na minjumla-e-fuġhāñ ho jaa.e
qafas bhī bigḌī huī shakl hai nasheman kī
ye ghar jo phir se sañvar jaa.e āshiyāñ ho jaa.e
nigāh-e-garm se dekho na ashk-e-hasrat ko
ye chāhte ho ki ye os bhī dhuāñ ho jaa.e
hayāt nok-e-mizha tak hai ashk-e-rañgīñ kī
palak zarā sī bhī jhapke to rā.egāñ ho jaa.e
'sirāj' dekh lo be-āñsuoñ ke bhī ro ke
ye sa.ī bhī na kahīñ sa.ī-e-rā.egāñ ho jaa.e
ye inqalab bhi ai daur-e-asman ho jae
mera qafas bhi muqaddar se aashiyan ho jae
maal-e-zabt-e-fughan marg-e-na-gahan ho jae
kisi tarah to mukammal ye dastan ho jae
samajh to lenge wo mujh se agar bayan ho jae
sukut had se guzar jae to ziyan ho jae
qafas se dur sahi mausam-e-bahaar to hai
asiro aao zara zikr-e-ashiyan ho jae
diya hai dard to rang-e-qubul de aisa
jo ashk aankh se Tapke wo dastan ho jae
zaban-e-KHushk bhi jumbish mein la nahin sakte
ye bebasi bhi na minjumla-e-fughan ho jae
qafas bhi bigDi hui shakl hai nasheman ki
ye ghar jo phir se sanwar jae aashiyan ho jae
nigah-e-garm se dekho na ashk-e-hasrat ko
ye chahte ho ki ye os bhi dhuan ho jae
hayat nok-e-mizha tak hai ashk-e-rangin ki
palak zara si bhi jhapke to raegan ho jae
'siraj' dekh lo be-ansuon ke bhi ro ke
ye sai bhi na kahin sai-e-raegan ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.