yar kyun gurezan hai sidhi rah chalne se
yaar kyuuñ gurezāñ hai sīdhī raah chalne se
manzileñ nahīñ miltīñ rāste badalne se
jo bhī rañg hai terā bas vahī ġhanīmat hai
chehre kab nikharte haiñ muñh pe ḳhaak malne se
tez dhuup meñ aa.ī aisī lahar sardī kī
mom kā har ik putlā bach gayā pighalne se
ban ga.e subūt āḳhir aap apne jurmoñ kā
haath jo mo.attar the phuul ko masalne se
kar sakā hai gadlā kaun raushnī ke chashme ko
chāñd bujh nahīñ jaatā āñdhiyoñ ke chalne se
so ke to gañvā baiThā ratjagoñ kī ra.anā.ī
ab 'qatīl' kyā hāsil tere haath malne se
yar kyun gurezan hai sidhi rah chalne se
manzilen nahin miltin raste badalne se
jo bhi rang hai tera bas wahi ghanimat hai
chehre kab nikharte hain munh pe KHak malne se
tez dhup mein aai aisi lahar sardi ki
mom ka har ek putla bach gaya pighalne se
ban gae subut aaKHir aap apne jurmon ka
hath jo moattar the phul ko masalne se
kar saka hai gadla kaun raushni ke chashme ko
chand bujh nahin jata aandhiyon ke chalne se
so ke to ganwa baiTha ratjagon ki ranai
ab 'qatil' kya hasil tere hath malne se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.