kya kahte kya ji mein tha
kyā kahte kyā jī meñ thā
shor bahut bastī meñ thā
pahlī buuñd girī Tap se
phir sab kuchh paanī meñ thā
chhateñ girīñ ghar baiTh ga.e
zor aisā āñdhī meñ thā
maujeñ sāhil phāñd ga.iiñ
dariyā galī galī meñ thā
merī laash nahīñ hai ye
kyā itnā bhārī maiñ thā
āḳhir tūfāñ guzar gayā
dekhā to baaqī maiñ thā
chhoḌ gayā mujh ko 'alvī'
shāyad vo jaldī meñ thā
kya kahte kya ji mein tha
shor bahut basti mein tha
pahli bund giri Tap se
phir sab kuchh pani mein tha
chhaten girin ghar baiTh gae
zor aisa aandhi mein tha
maujen sahil phand gain
dariya gali gali mein tha
meri lash nahin hai ye
kya itna bhaari main tha
aaKHir tufan guzar gaya
dekha to baqi main tha
chhoD gaya mujh ko 'alwi'
shayad wo jaldi mein tha
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 82)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.