ye jagah ahl-e-junun ab nahin rahne wali
ye jagah ahl-e-junūñ ab nahīñ rahne vaalī
fursat-e-ishq mayassar kahāñ pahle vaalī
koī dariyā ho kahīñ jo mujhe sairāb kare
ek hasrat hai jo puurī nahīñ hone vaalī
vaqt koshish kare maiñ chāhūñ magar yaad tirī
dhundlī ho saktī hai dil se nahīñ miTne vaalī
ab mire ḳhvāboñ kī baarī hai yahī lagtā hai
niiñd to chhin chukī kab kī mire hisse vaalī
in dinoñ maiñ bhī huuñ kuchh kār-e-jahāñ meñ masrūf
baat tujh meñ bhī nahīñ rah ga.ī pahle vaalī
ye jagah ahl-e-junun ab nahin rahne wali
fursat-e-ishq mayassar kahan pahle wali
koi dariya ho kahin jo mujhe sairab kare
ek hasrat hai jo puri nahin hone wali
waqt koshish kare main chahun magar yaad teri
dhundli ho sakti hai dil se nahin miTne wali
ab mere KHwabon ki bari hai yahi lagta hai
nind to chhin chuki kab ki mere hisse wali
in dinon main bhi hun kuchh kar-e-jahan mein masruf
baat tujh mein bhi nahin rah gai pahle wali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.