wo mere hisab mein intiha nahin chahta
vo mire hisāb meñ intihā nahīñ chāhtā
magar ek maiñ huuñ ki ibtidā nahīñ chāhtā
mire sehan par khulā āsmān rahe ki maiñ
use dhuup chhāñv meñ bāñTanā nahīñ chāhtā
kabhī khul sake kisī e'tibār ke daur meñ
mujhe chāhtā hai vo dil se yā nahīñ chāhtā
koī aur bhī ho charāġh bazm-e-hayāt kā
sar-e-tāq rakkhā huā diyā nahīñ chāhtā
ye mire vajūd kā mas.ala bhī ajiib hai
jo maiñ chāhtā huuñ vo dūsrā nahīñ chāhtā
wo mere hisab mein intiha nahin chahta
magar ek main hun ki ibtida nahin chahta
mere sehan par khula aasman rahe ki main
use dhup chhanw mein banTana nahin chahta
kabhi khul sake kisi e'tibar ke daur mein
mujhe chahta hai wo dil se ya nahin chahta
koi aur bhi ho charagh bazm-e-hayat ka
sar-e-taq rakkha hua diya nahin chahta
ye mere wajud ka masala bhi ajib hai
jo main chahta hun wo dusra nahin chahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.