wo hashr-KHez inayat par utar aaya
vo hashr-ḳhez ināyāt par utar aaya
balā kā rang hai aur raat par utar aaya
maiñ ḳhud udaas khaḌā thā kaTe daraḳht ke paas
parinda uḌ ke mire haath par utar aaya
vo mujh se toḌne vaalā hai phir koī va.ada
vo phir siyāsī bayānāt par utar aaya
tirī jo baat mire dil ko haath Dāltī hai
maiñ kyoñ ghumā ke usī baat par utar aaya
ḳhudā kahāñ hai bas itnā savāl thā merā
ḳhudā kā banda mirī zaat par utar aaya
vo pahle-pahl to mujh se hī pyaar kartā thā
phir us ke baad kamālāt par utar aaya
zarā sī baat thī ashkoñ ko pī gayā hotā
ġharīb shaḳhs thā auqāt par utar aaya
gayā to phir mire takiye se note nikle haiñ
amiir hote hī ḳhairāt par utar aaya
vo lā-javāb huā jab zabān se ḳhāmosh
to us kā chehra savālāt par utar aaya
wo hashr-KHez inayat par utar aaya
bala ka rang hai aur raat par utar aaya
main KHud udas khaDa tha kaTe daraKHt ke pas
parinda uD ke mere hath par utar aaya
wo mujh se toDne wala hai phir koi wada
wo phir siyasi bayanat par utar aaya
teri jo baat mere dil ko hath Dalti hai
main kyon ghuma ke usi baat par utar aaya
KHuda kahan hai bas itna sawal tha mera
KHuda ka banda meri zat par utar aaya
wo pahle-pahl to mujh se hi pyar karta tha
phir us ke baad kamalat par utar aaya
zara si baat thi ashkon ko pi gaya hota
gharib shaKHs tha auqat par utar aaya
gaya to phir mere takiye se note nikle hain
amir hote hi KHairaat par utar aaya
wo la-jawab hua jab zaban se KHamosh
to us ka chehra sawalat par utar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.