wo chup tha dida-e-nam bolte the
vo chup thā dīda-e-nam bolte the
ki us ke chehre se ġham bolte the
sabab ḳhāmoshiyoñ kā maiñ nahīñ thā
mire ghar meñ sabhī kam bolte the
yahī jo shahr kā hai aaj markaz
yahāñ sannāTe paiham bolte the
taraste haiñ usī tanhā.ī ko ham
koī suntā thā aur ham bolte the
koī bhī ghar meñ jab hotā nahīñ thā
dar-o-dīvār bāham bolte the
unhīñ se bolnā sīkhā thā ham ne
vahī jo bazm meñ kam bolte the
wo chup tha dida-e-nam bolte the
ki us ke chehre se gham bolte the
sabab KHamoshiyon ka main nahin tha
mere ghar mein sabhi kam bolte the
yahi jo shahr ka hai aaj markaz
yahan sannaTe paiham bolte the
taraste hain usi tanhai ko hum
koi sunta tha aur hum bolte the
koi bhi ghar mein jab hota nahin tha
dar-o-diwar baham bolte the
unhin se bolna sikha tha hum ne
wahi jo bazm mein kam bolte the
- Book : Bechehragi (Pg. 46)
- Author : bharat bhushan pant
- Publication : Suman prakashan Alambagh,Lucknow (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.