wasl mein zikr ghair ka na karo
vasl meñ zikr ġhair kā na karo
ḳhush kiyā hai to phir ḳhafā na karo
zulfoñ par mujh ko shefta na karo
in balāoñ meñ mubtalā na karo
merī itnī to baat maano bhalā
baat aġhyār se kiyā na karo
milne dūñgā na ġhair se tum ko
karo mujh se milāp yā na karo
mar bhī jā.ūñ kahīñ ye rog miTe
ai tabīboñ mirī davā na karo
muñh chhupānā hī hai agar manzūr
mere āñkhoñ-tale phirā na karo
ai gul in dinoñ ro.o.ge
khilkhilā kar bahut hañsā na karo
bosa lene do kuchh to ho taqsīr
hadaf-e-tīr be-ḳhatā na karo
jaan sadqe karūñ jo qadr karo
dil tumheñ duuñ agar daġhā na karo
kabhī fariyādtan suno merī
kaun kahtā hai tum jafā na karo
ġhair par kyuuñ nigāh karte ho
mujh ko is tiir kā nishāna karo
do-ghaḌī ke liye ham aa.e haiñ
talḳh bātoñ se be-mazā na karo
ek purze pe likh ke ye do-harf
dosto yaar ko ravāna karo
jald aao ki dam nikaltā hai
mujh ko piiTo agar bahāna karo
'bahr' shākir raho muqaddar par
kas-o-nā-kas se iltijā na karo
wasl mein zikr ghair ka na karo
KHush kiya hai to phir KHafa na karo
zulfon par mujh ko shefta na karo
in balaon mein mubtala na karo
meri itni to baat mano bhala
baat aghyar se kiya na karo
milne dunga na ghair se tum ko
karo mujh se milap ya na karo
mar bhi jaun kahin ye rog miTe
ai tabibon meri dawa na karo
munh chhupana hi hai agar manzur
mere aankhon-tale phira na karo
ai gul in dinon rooge
khilkhila kar bahut hansa na karo
bosa lene do kuchh to ho taqsir
hadaf-e-tir be-KHata na karo
jaan sadqe karun jo qadr karo
dil tumhein dun agar dagha na karo
kabhi fariyaadtan suno meri
kaun kahta hai tum jafa na karo
ghair par kyun nigah karte ho
mujh ko is tir ka nishana karo
do-ghaDi ke liye hum aae hain
talKH baaton se be-maza na karo
ek purze pe likh ke ye do-harf
dosto yar ko rawana karo
jald aao ki dam nikalta hai
mujh ko piTo agar bahana karo
'bahr' shakir raho muqaddar par
kas-o-na-kas se iltija na karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.