jahan mein aae na koi kami mohabbat ki
jahāñ meñ aa.e na koī kamī mohabbat kī
sadā lagātā rahūñgā yūñhī mohabbat kī
ye dil jo baaġh kī sūrat mahak rahā hai miyāñ
kabhī khilī thī yahāñ ik kalī mohabbat kī
na jaane kitne hī lamhe palak pe Thahr ga.e
kisī ne baat jo chheḌī kabhī mohabbat kī
rakhā hai ek hī me.aar har mohabbat meñ
so jis kisī se bhī kī ek sī mohabbat kī
thā pahlī pahlī mohabbat kā nashsha ḳhuub magar
kuchh aur baat hai is āḳhirī mohabbat kī
ye shahr-e-dil ke makīnoñ ko ḳhuub hai mālūm
har ik pe khultī nahīñ hai galī mohabbat kī
na māl-o-zar kī talab phir use huī koī
jise nasīb huī hai parī mohabbat kī
jab aa.ine meñ nazar aa.e koī aur hī shaḳhs
hai pahlī pahlī alāmat yahī mohabbat kī
vahī to jaan sakegā hamārā haal 'aqīl'
vo jis ne hijr sahā yā kabhī mohabbat kī
jahan mein aae na koi kami mohabbat ki
sada lagata rahunga yunhi mohabbat ki
ye dil jo bagh ki surat mahak raha hai miyan
kabhi khili thi yahan ek kali mohabbat ki
na jaane kitne hi lamhe palak pe Thahr gae
kisi ne baat jo chheDi kabhi mohabbat ki
rakha hai ek hi mear har mohabbat mein
so jis kisi se bhi ki ek si mohabbat ki
tha pahli pahli mohabbat ka nashsha KHub magar
kuchh aur baat hai is aaKHiri mohabbat ki
ye shahr-e-dil ke makinon ko KHub hai malum
har ek pe khulti nahin hai gali mohabbat ki
na mal-o-zar ki talab phir use hui koi
jise nasib hui hai pari mohabbat ki
jab aaine mein nazar aae koi aur hi shaKHs
hai pahli pahli alamat yahi mohabbat ki
wahi to jaan sakega hamara haal 'aqil'
wo jis ne hijr saha ya kabhi mohabbat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.