wahshi the bu-e-gul ki tarah is jahan mein hum
vahshī the bū-e-gul kī tarah is jahāñ meñ ham
nikle to phir ke aa.e na apne makāñ meñ ham
sākin haiñ josh-e-ashk se āb-e-ravāñ meñ ham
rahte haiñ misl-e-mardum-e-ābī jahāñ meñ ham
shaidā-e-rū-e-gul na to shaidā-e-qadd-e-sarv
sayyād ke shikār haiñ is bostāñ meñ ham
niklī laboñ se aah ki gardūñ nishāna thā
goyā ki tiir joḌe hue the kamāñ meñ ham
ālūda-e-gunāh hai apnā riyāz bhī
shab kāTte haiñ jaag ke muġh kī dukāñ meñ ham
himmat pas-az-fanā sabab-e-zikr-e-ḳhair hai
murdoñ kā naam sunte haiñ har dāstāñ meñ ham
saaqī hai yār-e-māh-liqā hai sharāb hai
ab bādshāh-e-vaqt haiñ apne makāñ meñ ham
nairañg-e-rozgār se aiman haiñ shakl-e-sarv
rakhte haiñ ek haal bahār-o-ḳhizāñ meñ ham
duniyā o āḳhirat meñ talabgār haiñ tire
hāsil tujhe samajhte haiñ donoñ jahāñ meñ ham
paidā huā hai apne liye boriyā-e-faqr
ye nīstāñ hai sher haiñ is nīstāñ meñ ham
ḳhvāhāñ koī nahīñ to kuchh is kā ojab nahīñ
jins-e-girāñ-bahā haiñ falak kī dukāñ meñ ham
likkhā hai kis ke ḳhanjar-e-mizhgāñ kā us ne vasf
ik zaḳhm dekhte haiñ qalam kī zabāñ meñ ham
kyā haal hai kisī ne na pūchhā hazār haif
nālāñ rahe jaras kī tarah kārvāñ meñ ham
aayā hai yaar fātiha paḌhne ko qabr par
bedār baḳht-e-ḳhufta hai ḳhvāb-e-girāñ meñ ham
shāgird tarz-e-ḳhanda-zanī meñ hai gul tirā
ustād-e-andalīb haiñ soz-o-fuġhāñ meñ ham
bāġh-e-jahāñ ko yaad kareñge adam meñ kyā
kunj-e-qafas se tañg rahe āshiyāñ meñ ham
allāh-re be-qarārī-e-dil hijr-e-yār meñ
gaahe zamīñ meñ the to gahe āsmāñ meñ ham
darvāza band rakhte haiñ misl-e-hubāb-e-bahr
qufl-e-durūñ-ḳhāna haiñ apne makāñ meñ ham
'ātish' suḳhan kī qadr zamāne se uTh ga.ī
maqdūr ho to qufl lagā deñ zabāñ meñ ham
wahshi the bu-e-gul ki tarah is jahan mein hum
nikle to phir ke aae na apne makan mein hum
sakin hain josh-e-ashk se aab-e-rawan mein hum
rahte hain misl-e-mardum-e-abi jahan mein hum
shaida-e-ru-e-gul na to shaida-e-qadd-e-sarw
sayyaad ke shikar hain is bostan mein hum
nikli labon se aah ki gardun nishana tha
goya ki tir joDe hue the kaman mein hum
aaluda-e-gunah hai apna riyaz bhi
shab kaTte hain jag ke mugh ki dukan mein hum
himmat pas-az-fana sabab-e-zikr-e-KHair hai
murdon ka nam sunte hain har dastan mein hum
saqi hai yar-e-mah-liqa hai sharab hai
ab baadshah-e-waqt hain apne makan mein hum
nairang-e-rozgar se aiman hain shakl-e-sarw
rakhte hain ek haal bahaar-o-KHizan mein hum
duniya o aaKHirat mein talabgar hain tere
hasil tujhe samajhte hain donon jahan mein hum
paida hua hai apne liye boriya-e-faqr
ye nistan hai sher hain is nistan mein hum
KHwahan koi nahin to kuchh is ka ojab nahin
jins-e-giran-baha hain falak ki dukan mein hum
likkha hai kis ke KHanjar-e-mizhgan ka us ne wasf
ek zaKHm dekhte hain qalam ki zaban mein hum
kya haal hai kisi ne na puchha hazar haif
nalan rahe jaras ki tarah karwan mein hum
aaya hai yar fatiha paDhne ko qabr par
bedar baKHt-e-KHufta hai KHwab-e-giran mein hum
shagird tarz-e-KHanda-zani mein hai gul tera
ustad-e-andalib hain soz-o-fughan mein hum
bagh-e-jahan ko yaad karenge adam mein kya
kunj-e-qafas se tang rahe aashiyan mein hum
allah-re be-qarari-e-dil hijr-e-yar mein
gahe zamin mein the to gahe aasman mein hum
darwaza band rakhte hain misl-e-hubab-e-bahr
qufl-e-durun-KHana hain apne makan mein hum
'atish' suKHan ki qadr zamane se uTh gai
maqdur ho to qufl laga den zaban mein hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.