wahshat diwaron mein chunwa rakkhi hai
vahshat dīvāroñ meñ chunvā rakkhī hai
maiñ ne ghar meñ vus.at-e-sahrā rakkhī hai
mujh meñ saat samundar shor machāte haiñ
ek ḳhayāl ne dahshat phailā rakkhī hai
roz āñkhoñ meñ jhūTe ashk bilotā huuñ
ġham kī ek shabīh utarvā rakkhī hai
jaañ rahtī hai paper-weight ke phūloñ meñ
varna merī mez pe duniyā rakkhī hai
ḳhauf bahāna hai 'sāqī' naġhme kī laash
ek zamāne se be-pardā rakkhī hai
wahshat diwaron mein chunwa rakkhi hai
main ne ghar mein wusat-e-sahra rakkhi hai
mujh mein sat samundar shor machate hain
ek KHayal ne dahshat phaila rakkhi hai
roz aankhon mein jhuTe ashk bilota hun
gham ki ek shabih utarwa rakkhi hai
jaan rahti hai paper-weight ke phulon mein
warna meri mez pe duniya rakkhi hai
KHauf bahana hai 'saqi' naghme ki lash
ek zamane se be-parda rakkhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.