wafa ka ahd tha dil ko sanbhaalne ke liye
vafā kā 'ahd thā dil ko sañbhālne ke liye
vo hañs paḌe mujhe mushkil meñ Dālne ke liye
bañdhā huā hai bahāroñ kā ab vahīñ tāñtā
jahāñ rukā thā maiñ kāñTe nikālne ke liye
koī nasīm kā naġhma koī shamīm kā raag
fazā ko amn ke qālib meñ Dhālne ke liye
ḳhudā na karda zamīñ paañv se agar khiskī
baḌheñge tund bagūle sañbhālne ke liye
utar paḌe haiñ kidhar se ye āñdhiyoñ ke julūs
samundaroñ se jazīre nikālne ke liye
tire salīqa-e-tartīb-e-nau kā kyā kahnā
hamīñ the qarya-e-dil se nikālne ke liye
kabhī hamārī zarūrat paḌegī duniyā ko
diloñ kī barf ko sho'loñ meñ Dhālne ke liye
ye sho'bade hī sahī kuchh fusūñ-garoñ ko bulāo
na.ī fazā meñ sitāre uchhālne ke liye
hai sirf ham ko tire ḳhāl-o-ḳhad kā andāza
ye aa.ine tū haiñ hairat meñ Dālne ke liye
na jaane kitnī masāfat se aa.egā sūraj
nigār-e-shab kā janāza nikālne ke liye
maiñ pesh-rau huuñ isī ḳhaak se ugeñge charāġh
nigāh-o-dil ke ufuq ko ujālne ke liye
fasīl-e-shab se koī haath baḌhne vaalā hai
fazā kī jeb se sūraj nikālne ke liye
kuñ.eñ meñ pheñk ke pachhtā rahā huuñ ai 'dānish'
kamand thī jo mināroñ pe Dālne ke liye
wafa ka 'ahd tha dil ko sanbhaalne ke liye
wo hans paDe mujhe mushkil mein Dalne ke liye
bandha hua hai bahaaron ka ab wahin tanta
jahan ruka tha main kanTe nikalne ke liye
koi nasim ka naghma koi shamim ka rag
faza ko amn ke qalib mein Dhaalne ke liye
KHuda na karda zamin panw se agar khiski
baDhenge tund bagule sanbhaalne ke liye
utar paDe hain kidhar se ye aandhiyon ke julus
samundaron se jazire nikalne ke liye
tere saliqa-e-tartib-e-nau ka kya kahna
hamin the qarya-e-dil se nikalne ke liye
kabhi hamari zarurat paDegi duniya ko
dilon ki barf ko sho'lon mein Dhaalne ke liye
ye sho'bade hi sahi kuchh fusun-garon ko bulao
nai faza mein sitare uchhaalne ke liye
hai sirf hum ko tere KHal-o-KHad ka andaza
ye aaine tu hain hairat mein Dalne ke liye
na jaane kitni masafat se aaega suraj
nigar-e-shab ka janaza nikalne ke liye
main pesh-rau hun isi KHak se ugenge charagh
nigah-o-dil ke ufuq ko ujalne ke liye
fasil-e-shab se koi hath baDhne wala hai
faza ki jeb se suraj nikalne ke liye
kunen mein phenk ke pachhta raha hun ai 'danish'
kamand thi jo minaron pe Dalne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.