us sitamgar se jo mila hoga
us sitamgar se jo milā hogā
jaan se haath dho chukā hogā
ishq meñ tere ham jo kuchh dekhā
na kisī ne kabhī sunā hogā
aah qāsid tū ab talak na phirā
dil dhaḌaktā hai kyā huā hogā
tū hī āñkhoñ meñ tū hī hai dil meñ
kaun yaañ aur tujh sivā hogā
ai miyāñ gul to khil chuke pa kabhū
ġhuncha-e-dil mirā bhī vā hogā
dekh tū faal meñ ki vo mujh se
na milegā milegā kyā hogā
hai yaqīñ mujh ko tujh sitamgar se
dil kisī kā agar lagā hogā
nāla-o-āh karte hī karte
ek din yuuñ hī mar gayā hogā
koī hogā ki dekh use 'bedār'
dil o diiñ le ke tuj rahā hogā
us sitamgar se jo mila hoga
jaan se hath dho chuka hoga
ishq mein tere hum jo kuchh dekha
na kisi ne kabhi suna hoga
aah qasid tu ab talak na phira
dil dhaDakta hai kya hua hoga
tu hi aankhon mein tu hi hai dil mein
kaun yan aur tujh siwa hoga
ai miyan gul to khil chuke pa kabhu
ghuncha-e-dil mera bhi wa hoga
dekh tu fal mein ki wo mujh se
na milega milega kya hoga
hai yaqin mujh ko tujh sitamgar se
dil kisi ka agar laga hoga
nala-o-ah karte hi karte
ek din yun hi mar gaya hoga
koi hoga ki dekh use 'bedar'
dil o din le ke tuj raha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.