us se mil kar bhi KHalish dil mein raha karti hai
us se mil kar bhī ḳhalish dil meñ rahā kartī hai
vasl ko hijr se kyā chiiz judā kartī hai
vo na mānegā pa har shab koī mauhūm sī aas
ik diyā ban ke dar-e-dil pe jalā kartī hai
auj-e-ausān pe chaḌh chaḌh ke mohabbat kī sharāb
jab utartī hai to kuchh aur nasha kartī hai
tujh meñ kyā baat hai ai dil ki vafā-kesh ye aql
merī bāñdī hai magar kaam tirā kartī hai
nā-gahāñ pañja-e-qātil se maiñ kyā chhūT gayā
us kī hasrat mire jiine kī duā kartī hai
āsmānoñ meñ uḌā karte haiñ phūle phūle
halke logoñ ke baḌe kaam havā kartī hai
us se mil kar bhi KHalish dil mein raha karti hai
wasl ko hijr se kya chiz juda karti hai
wo na manega pa har shab koi mauhum si aas
ek diya ban ke dar-e-dil pe jala karti hai
auj-e-ausan pe chaDh chaDh ke mohabbat ki sharab
jab utarti hai to kuchh aur nasha karti hai
tujh mein kya baat hai ai dil ki wafa-kesh ye aql
meri bandi hai magar kaam tera karti hai
na-gahan panja-e-qatil se main kya chhuT gaya
us ki hasrat mere jine ki dua karti hai
aasmanon mein uDa karte hain phule phule
halke logon ke baDe kaam hawa karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.