uski jab bazm se hum ho ke ba-tang aate hain
us kī jab bazm se ham ho ke ba-tañg aate haiñ
apne saath aap hī karte hue jang aate haiñ
husn meñ jab ta.iiñ garmī na ho jī deve kaun
sham-e-tasvīr ke kab gird patang aate haiñ
dil ko kis bū-qalamūñ jalve ne hai ḳhuun kiyā
ashk āñkhoñ se jo ye rañg-ba-rañg aate haiñ
aah tā'zīm ko uThtī hai mire siine se
dil pe jab us kī nigāhoñ ke ḳhadañg aate haiñ
shart gar pūchho to hai is meñ bhī qismat varna
'āshiqī karne ke har ek ko Dhang aate haiñ
naḳhl-e-vahshat bhī magar un kā samar rakhtā hai
har taraf se jo ye dīvāroñ pe sañg aate haiñ
hairat-afzā hai 'ajab kūcha-e-dildār 'hasan'
jo vahāñ jaate haiñ is tarf se dañg aate haiñ
us ki jab bazm se hum ho ke ba-tang aate hain
apne sath aap hi karte hue jang aate hain
husn mein jab tain garmi na ho ji dewe kaun
sham-e-taswir ke kab gird patang aate hain
dil ko kis bu-qalamun jalwe ne hai KHun kiya
ashk aankhon se jo ye rang-ba-rang aate hain
aah ta'zim ko uThti hai mere sine se
dil pe jab us ki nigahon ke KHadang aate hain
shart gar puchho to hai is mein bhi qismat warna
'ashiqi karne ke har ek ko Dhang aate hain
naKHl-e-wahshat bhi magar un ka samar rakhta hai
har taraf se jo ye diwaron pe sang aate hain
hairat-afza hai 'ajab kucha-e-dildar 'hasan'
jo wahan jate hain is tarf se dang aate hain
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.