uski aawaz mein the sare KHad-o-Khaal uske
us kī āvāz meñ the saare ḳhad-o-ḳhāl us ke
vo chahaktā thā to hañste the par-o-bāl us ke
zard-rū ek hī pal meñ huī madh-mātī shaam
laal hone bhī na paa.e the abhī gaal us ke
kahkashāoñ meñ taḌapte the sitāroñ ke parind
sabz ākāsh pe har-sū the bichhe jaal us ke
kaaT hī leñge judā.ī kā zamāna ham to
dekhiye kaise guzarte haiñ mah o saal us ke
ek din ham bhī khile us kī hasīñ rāhoñ meñ
ek din paañv meñ ham bhī hue pāmāl us ke
chāñdnī us kā badan chāñd hai us kā chehra
khetiyāñ dhaan kī āñkhoñ ke hasīñ taal us ke
rat-jagā ham bhī manā.eñ ki sunā hai ham ne
roz likhtī hai sahar ḳhuun se ahvāl us ke
us ki aawaz mein the sare KHad-o-KHal us ke
wo chahakta tha to hanste the par-o-baal us ke
zard-ru ek hi pal mein hui madh-mati sham
lal hone bhi na pae the abhi gal us ke
kahkashaon mein taDapte the sitaron ke parind
sabz aakash pe har-su the bichhe jal us ke
kaT hi lenge judai ka zamana hum to
dekhiye kaise guzarte hain mah o sal us ke
ek din hum bhi khile us ki hasin rahon mein
ek din panw mein hum bhi hue pamal us ke
chandni us ka badan chand hai us ka chehra
khetiyan dhan ki aankhon ke hasin tal us ke
rat-jaga hum bhi manaen ki suna hai hum ne
roz likhti hai sahar KHun se ahwal us ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.