us bewafa ka shahr hai aur waqt-e-sham hai
us bevafā kā shahr hai aur vaqt-e-shām hai
aise meñ aarzū baḌī himmat kā kaam hai
ham ko bhī chhoḌtā huā aage nikal gayā
jazboñ kā qāfila bhī baḌā tez-gām hai
be-ārzū bhī ḳhush haiñ zamāne meñ ba.az log
yaañ aarzū ke saath bhī jiinā harām hai
lafzoñ kī jaan chhoḌ de mafhūm ko pakaḌ
varna ye sab mu'āmla tajnīs-e-tām hai
tauba ke silsile meñ bas itnā kaheñge ham
maslak ho bāda-noshī to tauba harām hai
āñkhoñ kā hai ḳhayāl ki daanā hai daam meñ
aur fikr kah rahī hai ki daane meñ daam hai
naqqād tum ko pūchhte aa.e the kal 'shujā'
kahte the shā'iroñ meñ tumhārā bhī naam hai
us bewafa ka shahr hai aur waqt-e-sham hai
aise mein aarzu baDi himmat ka kaam hai
hum ko bhi chhoDta hua aage nikal gaya
jazbon ka qafila bhi baDa tez-gam hai
be-arzu bhi KHush hain zamane mein baz log
yan aarzu ke sath bhi jina haram hai
lafzon ki jaan chhoD de mafhum ko pakaD
warna ye sab mu'amla tajnis-e-tam hai
tauba ke silsile mein bas itna kahenge hum
maslak ho baada-noshi to tauba haram hai
aankhon ka hai KHayal ki dana hai dam mein
aur fikr kah rahi hai ki dane mein dam hai
naqqad tum ko puchhte aae the kal 'shuja'
kahte the sha'iron mein tumhaara bhi nam hai
- Book : lafz magazine (Pg. february-2013 )
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.