udhar to dar par rakkha hua hai
udhar to daar par rakkhā huā hai
idhar pairoñ meñ sar rakkhā huā hai
kam az kam is sarāb-e-ārzū ne
mirī āñkhoñ ko tar rakkhā huā hai
samajhte kyā ho ham ko shahr vaalo
bayābāñ meñ bhī ghar rakkhā huā hai
ham achchhā maal to bilkul nahīñ haiñ
hameñ kyuuñ bāñdh kar rakkhā huā hai
mire hālāt ko bas yuuñ samajh lo
parinde par shajar rakkhā huā hai
jihālat se guzāra kar rahā huuñ
kitāboñ meñ hunar rakkhā huā hai
udhar to dar par rakkha hua hai
idhar pairon mein sar rakkha hua hai
kam az kam is sarab-e-arzu ne
meri aankhon ko tar rakkha hua hai
samajhte kya ho hum ko shahr walo
bayaban mein bhi ghar rakkha hua hai
hum achchha mal to bilkul nahin hain
hamein kyun bandh kar rakkha hua hai
mere haalat ko bas yun samajh lo
parinde par shajar rakkha hua hai
jihaalat se guzara kar raha hun
kitabon mein hunar rakkha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.