tufan se qarya qarya ek hue
tūfāñ se qarya qarya ek hue
phir ret se chehra chehra ek hue
chāñd ubharte hī ujlī kirnoñ se
uupar kā kamra kamra ek hue
almārī meñ tasvīreñ rakhtā huuñ
ab bachpan aur buḌhāpā ek hue
us kī galī ke moḌ se guzre kyā the
sab raahī rasta rasta ek hue
dīvār girī to andar sāmne thā
darvāza aur darīcha ek hue
jab vo paudoñ ko paanī detā thā
pas-manzar aur nazāra ek hue
kal āñkh-micholī ke khel meñ 'aḳhtar'
maiñ aur peḌoñ kā saaya ek hue
tufan se qarya qarya ek hue
phir ret se chehra chehra ek hue
chand ubharte hi ujli kirnon se
upar ka kamra kamra ek hue
almari mein taswiren rakhta hun
ab bachpan aur buDhapa ek hue
us ki gali ke moD se guzre kya the
sab rahi rasta rasta ek hue
diwar giri to andar samne tha
darwaza aur daricha ek hue
jab wo paudon ko pani deta tha
pas-manzar aur nazara ek hue
kal aankh-micholi ke khel mein 'aKHtar'
main aur peDon ka saya ek hue
- Book : TASTEER (Pg. 425)
- Author : Nasiir Ahmed Nasir
- Publication : C-56,LDA Flats, Chanaab Block, Iqbaal Town, Lahore (Issue No. 9,10 July/August. 1999)
- Edition : Issue No. 9,10 July/August. 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.