tumhaari yaad mein hum jashn-e-gham manaen bhi
tumhārī yaad meñ ham jashn-e-ġham manā.eñ bhī
kisī tarah se magar tum ko yaad aa.eñ bhī
chhalak hī paḌte haiñ ḳhud hī gulāb āñkhoñ ke
vo paas aa.eñ to ye dāstāñ sunā.īñ bhī
har ek lamha yahī bekalī sī hai dil meñ
ki un ko yaad kareñ un ko bhuul jaa.eñ bhī
javān gehūñ ke khetoñ ko dekh kar ro deñ
vo laḌkiyāñ ki jinheñ bhuul baiThīñ maa.eñ bhī
tamām umr yūñhī ratjagoñ se kyā hāsil
unheñ bhulā.eñ zarā niiñd ko bulā.eñ bhī
sukūn miltā hai jaltī huī dopahroñ meñ
banī haiñ marham-e-dil dhuup kī shuā.eñ bhī
ravā-ravī meñ hai har ek sohbat-e-yārāñ
mileñ sakūñ se to qisse tire sunā.eñ bhī
vo jin ke zikr se 'nāhīd' zindagī hai hasīñ
vo log aa.eñ to āñkhoñ pe ham biThā.eñ bhī
tumhaari yaad mein hum jashn-e-gham manaen bhi
kisi tarah se magar tum ko yaad aaen bhi
chhalak hi paDte hain KHud hi gulab aankhon ke
wo pas aaen to ye dastan sunain bhi
har ek lamha yahi bekali si hai dil mein
ki un ko yaad karen un ko bhul jaen bhi
jawan gehun ke kheton ko dekh kar ro den
wo laDkiyan ki jinhen bhul baiThin maen bhi
tamam umr yunhi ratjagon se kya hasil
unhen bhulaen zara nind ko bulaen bhi
sukun milta hai jalti hui dopahron mein
bani hain marham-e-dil dhup ki shuaen bhi
rawa-rawi mein hai har ek sohbat-e-yaran
milen sakun se to qisse tere sunaen bhi
wo jin ke zikr se 'nahid' zindagi hai hasin
wo log aaen to aankhon pe hum biThaen bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.