tujhe hai mashq-e-sitam ka malal waise hi
tujhe hai mashq-e-sitam kā malāl vaise hī
hamārī jaan thī jaañ par vabāl vaise hī
chalā thā zikr zamāne kī bevafā.ī kā
so aa gayā hai tumhārā ḳhayāl vaise hī
ham aa ga.e haiñ tah-e-dām to nasīb apnā
vagarna us ne to pheñkā thā jaal vaise hī
maiñ roknā hī nahīñ chāhtā thā vaar us kā
girī nahīñ mire hāthoñ se Dhaal vaise hī
zamāna ham se bhalā dushmanī to kyā rakhtā
so kar gayā hai hameñ pā.emāl vaise hī
mujhe bhī shauq na thā dāstāñ sunāne kā
'farāz' us ne bhī pūchhā thā haal vaise hī
tujhe hai mashq-e-sitam ka malal waise hi
hamari jaan thi jaan par wabaal waise hi
chala tha zikr zamane ki bewafai ka
so aa gaya hai tumhaara KHayal waise hi
hum aa gae hain tah-e-dam to nasib apna
wagarna us ne to phenka tha jal waise hi
main rokna hi nahin chahta tha war us ka
giri nahin mere hathon se Dhaal waise hi
zamana hum se bhala dushmani to kya rakhta
so kar gaya hai hamein paemal waise hi
mujhe bhi shauq na tha dastan sunane ka
'faraaz' us ne bhi puchha tha haal waise hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.