tujhko bataen kis tarah, baiThe hain kaise haal mein
tujhko bataen kis tarah, baiThe hain kaise haal mein
Rana Amir Liyaqat
MORE BYRana Amir Liyaqat
tujh ko batā.eñ kis tarah, baiThe haiñ kaise haal meñ
duniyā meñ aisā kyā hai jo, aatā nahīñ vabāl meñ
DhūñDte phir rahe haiñ ham aise shikārī haath ko
arz o samā kī vus'ateñ qaid hoñ jis ke jaal meñ
pahle vo merā ḳhvāb thā ab to maiñ us kā ḳhvāb huuñ
mujh ko batā ai zindagī! kaun hai kis kī chaal meñ
shahr se shahr kā safar, ḳhvāb thā merā ham-safar
maiñ ne to jī lī zindagī, baiTh ke ek shaal meñ
iiñT se iiñT joḌ kar, ḳhvāb banā rahā huuñ maiñ
raḳhne na Daal mere yaar, ḳhvāb kī dekh-bhāl meñ
tujh ko bataen kis tarah, baiThe hain kaise haal mein
duniya mein aisa kya hai jo, aata nahin wabaal mein
DhunDte phir rahe hain hum aise shikari hath ko
arz o sama ki wus'aten qaid hon jis ke jal mein
pahle wo mera KHwab tha ab to main us ka KHwab hun
mujh ko bata ai zindagi! kaun hai kis ki chaal mein
shahr se shahr ka safar, KHwab tha mera ham-safar
main ne to ji li zindagi, baiTh ke ek shaal mein
inT se inT joD kar, KHwab bana raha hun main
raKHne na Dal mere yar, KHwab ki dekh-bhaal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.