teri sada ka hai sadiyon se intizar mujhe
tirī sadā kā hai sadiyoñ se intizār mujhe
mire lahū ke samundar zarā pukār mujhe
maiñ apne ghar ko bulandī pe chaḌh ke kyā dekhūñ
urūj-e-fan mirī dahlīz par utaar mujhe
ubalte dekhī hai sūraj se maiñ ne tārīkī
na raas aa.egī ye sub.h-e-zar-nigār mujhe
kahegā dil to maiñ patthar ke paañv chūmūñgā
zamāna laakh kare aa ke sañgsār mujhe
vo fāqa-mast huuñ jis raah se guzartā huuñ
salām kartā hai āshob-e-rozgār mujhe
teri sada ka hai sadiyon se intizar mujhe
mere lahu ke samundar zara pukar mujhe
main apne ghar ko bulandi pe chaDh ke kya dekhun
uruj-e-fan meri dahliz par utar mujhe
ubalte dekhi hai suraj se main ne tariki
na ras aaegi ye subh-e-zar-nigar mujhe
kahega dil to main patthar ke panw chumunga
zamana lakh kare aa ke sangsar mujhe
wo faqa-mast hun jis rah se guzarta hun
salam karta hai aashob-e-rozgar mujhe
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 66)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.