mere afkar badle jo wahi ustad ho mera
mire afkār badle jo vahī ustād ho merā
mahārat ho jise fan par vahī naqqād ho merā
mire ash'ār āfāqī mirī ġhazleñ hoñ paiġhāmī
ho merī fikr sanjīda qalam āzād ho merā
rahe qaa.em namī hoñToñ kī terā naam lene se
tire hī zikr se banjar ye dil ābād ho merā
mire par noch kar donoñ dar-e-zindāñ hī vā kar de
ki itnā mehrbāñ mujh par kabhī sayyād ho merā
sazā-e-‘ishq de mujh ko sar-e-bāzār laTkā kar
baḌā be-rahm patthar-dil koī jallād ho merā
dilāsa koī jhūTā duuñ batāo kyā ye mumkin hai
maiñ sab kuchh bhuul jā.ūñ aur use sab yaad ho merā
'mubārak' vajd meñ aa.e mukarrar kī sadāoñ se
ilāhī pur-asar aisā koī irshād ho merā
mere afkar badle jo wahi ustad ho mera
mahaarat ho jise fan par wahi naqqad ho mera
mere ash'ar aafaqi meri ghazlen hon paighami
ho meri fikr sanjida qalam aazad ho mera
rahe qaem nami honTon ki tera nam lene se
tere hi zikr se banjar ye dil aabaad ho mera
mere par noch kar donon dar-e-zindan hi wa kar de
ki itna mehrban mujh par kabhi sayyaad ho mera
saza-e-‘ishq de mujh ko sar-e-bazar laTka kar
baDa be-rahm patthar-dil koi jallad ho mera
dilasa koi jhuTa dun batao kya ye mumkin hai
main sab kuchh bhul jaun aur use sab yaad ho mera
'mubarak' wajd mein aae mukarrar ki sadaon se
ilahi pur-asar aisa koi irshad ho mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.