wo din kitna achchha tha
vo din kitnā achchhā thā
maiñ jī bhar ke royā thā
havā Thumak ke chaltī thī
hāthoñ meñ guldasta thā
huuk sī uThtī thī dil meñ
ūñchā nīchā rasta thā
yahī peḌ the pahle bhī
yahīñ kahīñ ik chashma thā
chashme kā soyā paanī
mujh dekh ke chauñkā thā
paanī chhoḌ ke ik gīdaḌ
ik jhāḌī meñ lapkā thā
do meñDak Tarra.e the
ek parinda chīḳhā thā
ik kachhvā ik patthar par
patthar ban ke baiThā thā
maiñ paanī meñ utrā to
paanī zor se uchhlā thā
pahle bhī is jangal se
ek baar maiñ guzrā thā
lekin pahlī baar 'alvī'
yaad nahīñ kyā sochā thā
wo din kitna achchha tha
main ji bhar ke roya tha
hawa Thumak ke chalti thi
hathon mein guldasta tha
huk si uThti thi dil mein
uncha nicha rasta tha
yahi peD the pahle bhi
yahin kahin ek chashma tha
chashme ka soya pani
mujh dekh ke chaunka tha
pani chhoD ke ek gidaD
ek jhaDi mein lapka tha
do meinDak Tarrae the
ek parinda chiKHa tha
ek kachhwa ek patthar par
patthar ban ke baiTha tha
main pani mein utra to
pani zor se uchhla tha
pahle bhi is jangal se
ek bar main guzra tha
lekin pahli bar 'alwi'
yaad nahin kya socha tha
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 100)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.