taza phul sajaen kyun hum kamre ke gul-danon mein
taaza phuul sajā.eñ kyuuñ ham kamre ke gul-dānoñ meñ
terī ḳhushbū shāmil hai rozāna ke mehmānoñ meñ
kaisī kaisī bastī ujḌī ahl-e-ḳhirad ke hāthoñ se
dīvānoñ ne shahr basā.e jā kar registānoñ meñ
apne aañsū dafn hue haiñ aañkh kī giilī qabroñ meñ
apnī chīḳheñ qaid rahī haiñ zehnoñ ke zindānoñ meñ
us ke ruup kī dhuup kā saaya chhāñv bichhāte peḌoñ par
us kī shoḳh hañsī kā charchā shahr ke qahva ḳhānoñ meñ
dhuñd to poñchhī bhī jā saktī hai chashme ke shīshoñ se
vaqt kī raakh paḌī rahtī hai ThanDe ātish-dānoñ meñ
pairoñ se Takrāte haiñ jab jhoñke sard havāoñ ke
haath larazne lag jaate haiñ chamḌe ke dastānoñ meñ
tanhā.ī kā bhārī patthar ek zarā sā sarkā hai
kaḌiyoñ kī āvāz paḌī hai ik qaidī ke kānoñ meñ
taza phul sajaen kyun hum kamre ke gul-danon mein
teri KHushbu shamil hai rozana ke mehmanon mein
kaisi kaisi basti ujDi ahl-e-KHirad ke hathon se
diwanon ne shahr basae ja kar registanon mein
apne aansu dafn hue hain aankh ki gili qabron mein
apni chiKHen qaid rahi hain zehnon ke zindanon mein
us ke rup ki dhup ka saya chhanw bichhate peDon par
us ki shoKH hansi ka charcha shahr ke qahwa KHanon mein
dhund to ponchhi bhi ja sakti hai chashme ke shishon se
waqt ki rakh paDi rahti hai ThanDe aatish-danon mein
pairon se Takraate hain jab jhonke sard hawaon ke
hath larazne lag jate hain chamDe ke dastanon mein
tanhai ka bhaari patthar ek zara sa sarka hai
kaDiyon ki aawaz paDi hai ek qaidi ke kanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.