tarikiyon ne KHud ko milaya hai dhup mein
tārīkiyoñ ne ḳhud ko milāyā hai dhuup meñ
saaya jo shaam kā nazar aaya hai dhuup meñ
shāyad mujhī meñ yādoñ kī sham.eñ jalī thiiñ raat
pighlā huā sā ḳhud ko jo paayā hai dhuup meñ
kal shab kā tāpmān chalo us se pūchh leñ
vo aadmī jo kāñptā aaya hai dhuup meñ
us zāviye se dekhiye ā.īna-e-hayāt
jis zāviye se maiñ ne lagāyā hai dhuup meñ
chamkegā chāñd ban ke yahī raat meñ 'farāz'
patthar kā jis ko tum ne batāyā hai dhuup meñ
tarikiyon ne KHud ko milaya hai dhup mein
saya jo sham ka nazar aaya hai dhup mein
shayad mujhi mein yaadon ki shamen jali thin raat
pighla hua sa KHud ko jo paya hai dhup mein
kal shab ka tapman chalo us se puchh len
wo aadmi jo kanpta aaya hai dhup mein
us zawiye se dekhiye aaina-e-hayat
jis zawiye se main ne lagaya hai dhup mein
chamkega chand ban ke yahi raat mein 'faraaz'
patthar ka jis ko tum ne bataya hai dhup mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.