tarif us KHuda ki jis ne jahan banaya
tārīf us ḳhudā kī jis ne jahāñ banāyā
kaisī zamīñ banā.ī kyā āsmāñ banāyā
paañv tale bichhāyā kyā ḳhuub farsh-e-ḳhākī
aur sar pe lājvardī ik sā.ibāñ banāyā
miTTī se bel-būTe kyā ḳhushnumā ugaa.e
pahnā ke sabz ḳhil.at un ko javāñ banāyā
ḳhush-rang aur ḳhushbū gul phuul haiñ khilā.e
is ḳhaak ke khañDar ko kyā gulsitāñ banāyā
meve lagā.e kyā kyā ḳhush-zā.eqa rasīle
chakhne se jin ke mujh ko shīrīñ-dahāñ banāyā
sūraj banā ke tū ne raunaq jahāñ ko baḳhshī
rahne ko ye hamāre achchhā makāñ banāyā
pyāsī zamīñ ke muñh meñ meñh kā chuvāyā paanī
aur bādaloñ ko tū ne meñh kā nishāñ banāyā
ye pyārī pyārī chiḌiyāñ phirtī haiñ jo chahaktī
qudrat ne terī un ko tasbīh-ḳhvāñ banāyā
tinke uThā uThā kar lā.īñ kahāñ kahāñ se
kis ḳhūb-sūratī se phir āshiyāñ banāyā
ūñchī uḌeñ havā meñ bachchoñ ko par na bhūleñ
in be-paroñ kā un ko rozī-rasāñ banāyā
kyā duudh dene vaalī gaa.eñ banā.īñ tū ne
chaḌhne ko mere ghoḌā kyā ḳhush-ināñ banāyā
rahmat se terī kyā kyā haiñ nemateñ mayassar
in ne.amatoñ kā mujh ko hai qadr-dāñ banāyā
āb-e-ravāñ ke andar machhlī banā.ī tū ne
machhlī ke tairne ko āb-e-ravāñ banāyā
har chiiz se hai terī kārīgarī Tapaktī
ye kārḳhāna tū ne kab rā.egāñ banāyā
tarif us KHuda ki jis ne jahan banaya
kaisi zamin banai kya aasman banaya
panw tale bichhaya kya KHub farsh-e-KHaki
aur sar pe lajwardi ek saiban banaya
miTTi se bel-buTe kya KHushnuma ugae
pahna ke sabz KHilat un ko jawan banaya
KHush-rang aur KHushbu gul phul hain khilae
is KHak ke khanDar ko kya gulsitan banaya
mewe lagae kya kya KHush-zaeqa rasile
chakhne se jin ke mujh ko shirin-dahan banaya
suraj bana ke tu ne raunaq jahan ko baKHshi
rahne ko ye hamare achchha makan banaya
pyasi zamin ke munh mein meinh ka chuwaya pani
aur baadalon ko tu ne meinh ka nishan banaya
ye pyari pyari chiDiyan phirti hain jo chahakti
qudrat ne teri un ko tasbih-KHwan banaya
tinke uTha uTha kar lain kahan kahan se
kis KHub-surati se phir aashiyan banaya
unchi uDen hawa mein bachchon ko par na bhulen
in be-paron ka un ko rozi-rasan banaya
kya dudh dene wali gaen banain tu ne
chaDhne ko mere ghoDa kya KHush-inan banaya
rahmat se teri kya kya hain nematen mayassar
in neamaton ka mujh ko hai qadr-dan banaya
aab-e-rawan ke andar machhli banai tu ne
machhli ke tairne ko aab-e-rawan banaya
har chiz se hai teri karigari Tapakti
ye karKHana tu ne kab raegan banaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.