suKHan jo usne kahe the girah se bandh liye
suḳhan jo us ne kahe the girah se bāñdh liye
ḳhayāl usī ke the sau sau tarah se bāñdh liye
vo ban-sañvar ke nikaltī to chheḌtī thī sabā
phir us ne baal hī apne sabā se bāñdh liye
mile baġhair vo ham se bichhaḌ na jaa.e kahīñ
ye vasvase bhī dil-e-mubtalā se bāñdh liye
hamāre dil kā chalan bhī to koī Thiik nahīñ
kahāñ ke ahd kahāñ kī fazā se bāñdh liye
vo ab kisī bhī vasīle se ham ko mil jaa.e
so ham ne apne irāde duā se bāñdh liye
maiñ ik thakā huā insān aur kyā kartā
tarah tarah ke tasavvur ḳhudā se bāñdh liye
suKHan jo us ne kahe the girah se bandh liye
KHayal usi ke the sau sau tarah se bandh liye
wo ban-sanwar ke nikalti to chheDti thi saba
phir us ne baal hi apne saba se bandh liye
mile baghair wo hum se bichhaD na jae kahin
ye waswase bhi dil-e-mubtala se bandh liye
hamare dil ka chalan bhi to koi Thik nahin
kahan ke ahd kahan ki faza se bandh liye
wo ab kisi bhi wasile se hum ko mil jae
so hum ne apne irade dua se bandh liye
main ek thaka hua insan aur kya karta
tarah tarah ke tasawwur KHuda se bandh liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.