subh jab raat ke zindan se bahar aai
sub.h jab raat ke zindān se bāhar aa.ī
raushnī soch ke aivān se bāhar aa.ī
shām-e-ġham maiñ ne jo pūchhā mirā ġham-ḳhvār hai kaun
ik ġhazal 'mīr' ke dīvān se bāhar aa.ī
maiñ ne thak-hār ke jab zād-e-safar kholā hai
ek ummīd bhī sāmān se bāhar aa.ī
kis ke chehre kī chamak jaañ meñ samone ke liye
zindagī dīda-e-be-jān se bāhar aa.ī
maiñ ne kuchh rang uchhāle the havāoñ meñ 'nabīl'
aur tasvīr tirī dhyān se bāhar aa.ī
subh jab raat ke zindan se bahar aai
raushni soch ke aiwan se bahar aai
sham-e-gham main ne jo puchha mera gham-KHwar hai kaun
ek ghazal 'mir' ke diwan se bahar aai
main ne thak-haar ke jab zad-e-safar khola hai
ek ummid bhi saman se bahar aai
kis ke chehre ki chamak jaan mein samone ke liye
zindagi dida-e-be-jaan se bahar aai
main ne kuchh rang uchhaale the hawaon mein 'nabil'
aur taswir teri dhyan se bahar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.