dil ko darun-e-KHana hi bahlao ghar raho
dil ko darūn-e-ḳhāna hī bahlāo ghar raho
tum ko qasam hai bhiiḌ meñ mat jaao ghar raho
zinda rahe to yaar bahut mahfileñ bahut
filhāl mere anjuman-ārāo! ghar raho
maanā ki iid milnā bhī dastūr hai magar
sīnoñ se lag ke maut na phailāo ghar raho
chaukhaT na paar karnā ki bāhar hai qatl-e-ām
galiyoñ meñ chal rahī hai ajal daav ghar raho
mahbūb ko bhī le ke maroge tum apne saath
gar ishq hai to ishq na jatlāo ghar raho
dariyā-e-ḳhūñ hai qariya-o-bāzār meñ ravāñ
tah kar ke rakh do yaaro abhī naav ghar raho
ik muftī-e-saḳhī kā hai fatvā ki Thiik hai
ghar rah ke chāhe mai hī piye jaao ghar raho
fāris! hameñ bhī shauq-e-mulāqāt hai magar
puure kareñge ba.ad meñ sab chaav ghar raho
dil ko darun-e-KHana hi bahlao ghar raho
tum ko qasam hai bhiD mein mat jao ghar raho
zinda rahe to yar bahut mahfilen bahut
filhaal mere anjuman-arao! ghar raho
mana ki id milna bhi dastur hai magar
sinon se lag ke maut na phailao ghar raho
chaukhaT na par karna ki bahar hai qatl-e-am
galiyon mein chal rahi hai ajal daw ghar raho
mahbub ko bhi le ke maroge tum apne sath
gar ishq hai to ishq na jatlao ghar raho
dariya-e-KHun hai qariya-o-bazar mein rawan
tah kar ke rakh do yaro abhi naw ghar raho
ek mufti-e-saKHi ka hai fatwa ki Thik hai
ghar rah ke chahe mai hi piye jao ghar raho
faris! hamein bhi shauq-e-mulaqat hai magar
pure karenge baad mein sab chaw ghar raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.