soch kar bhi kya jaana jaan kar bhi kya paya
soch kar bhī kyā jaanā jaan kar bhī kyā paayā
jab bhī ā.īna dekhā ḳhud ko dūsrā paayā
hoñT par diyā rakhnā dil-jaloñ kī shoḳhī hai
varna is añdhere meñ kaun muskurā paayā
bol the divānoñ ke jin se hosh vāloñ ne
soch ke dhuñdlakoñ meñ apnā rāsta paayā
ehtimām dastak kā apnī vaz' thī varna
ham ne dar rasā.ī kā bār-hā khulā paayā
falsafoñ ke dhāgoñ se khīñch kar sirā dil kā
vahm se haqīqat tak ham ne silsila paayā
'umr yā zamāne kā khel hai bahāne kā
sab ne mājrā dekhā kis ne mudda'ā paayā
shā.erī talab apnī shā.erī 'atā us kī
hausle se kam māñgā zarf se sivā paayā
'sāz' jab khulā ham par she'r koī 'ġhālib' kā
ham ne goyā bātin kā ik surāġh sā paayā
soch kar bhi kya jaana jaan kar bhi kya paya
jab bhi aaina dekha KHud ko dusra paya
honT par diya rakhna dil-jalon ki shoKHi hai
warna is andhere mein kaun muskura paya
bol the diwanon ke jin se hosh walon ne
soch ke dhundlakon mein apna rasta paya
ehtimam dastak ka apni waz' thi warna
hum ne dar rasai ka bar-ha khula paya
falsafon ke dhagon se khinch kar sira dil ka
wahm se haqiqat tak hum ne silsila paya
'umr ya zamane ka khel hai bahane ka
sab ne majra dekha kis ne mudda'a paya
shaeri talab apni shaeri 'ata us ki
hausle se kam manga zarf se siwa paya
'saz' jab khula hum par she'r koi 'ghaalib' ka
hum ne goya baatin ka ek suragh sa paya
- Book : sargoshiyan zamanon ki (Pg. 63)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.