so raha hun main ki ye jaga hua sa KHwab hai
so rahā huuñ maiñ ki ye jaagā huā sā ḳhvāb hai
lā-shu'ūrī vus'atoñ meñ ūñghtā sā ḳhvāb hai
muḳhtasar haiñ zindagī ke din magar rāteñ tavīl
bevafā āñkhoñ ko hāsil bā-vafā sā ḳhvāb hai
ek manzar ko mukammal dekhtā hai kaun ab
koī suntā hai kahāñ kyā gūñjtā sā ḳhvāb hai
naag hai sāya-fagan sar par huuñ maiñ mahv-e-ḳhirām
mujh apāhij ko mayassar shankar-āsā ḳhvāb hai
shā'irī meñ anfus o āfāq mub.ham haiñ abhī
isti'āra hī haqīqat meñ ḳhudā sā ḳhvāb hai
ḳhaam hai 'kāvish' hamārā ḳhvāb din meñ dekhnā
shaiḳh-chillī aur sab kā be-tukā sā ḳhvāb hai
so raha hun main ki ye jaga hua sa KHwab hai
la-shu'uri wus'aton mein unghta sa KHwab hai
muKHtasar hain zindagi ke din magar raaten tawil
bewafa aankhon ko hasil ba-wafa sa KHwab hai
ek manzar ko mukammal dekhta hai kaun ab
koi sunta hai kahan kya gunjta sa KHwab hai
nag hai saya-fagan sar par hun main mahw-e-KHiram
mujh apahij ko mayassar shankar-asa KHwab hai
sha'iri mein anfus o aafaq mubham hain abhi
isti'ara hi haqiqat mein KHuda sa KHwab hai
KHam hai 'kawish' hamara KHwab din mein dekhna
shaiKH-chilli aur sab ka be-tuka sa KHwab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.