sitam-e-na-rawa ko rote hain
sitam-e-nā-ravā ko rote haiñ
charḳh terī jafā ko rote haiñ
ḳhuun rulvā rahī hai yād-e-vafā
ik sarāpā-vafā ko rote haiñ
is tarah aa.ī vaqt se pahle
aane vaalī qazā ko rote haiñ
ab ye us tak pahuñch nahīñ saktā
nāla-e-nā-rasā ko rote haiñ
bah gayā aañkh se lahū ho kar
dil-e-dard-āshnā ko rote haiñ
jaan le kar gayā vo āḳhir-e-kār
maraz-e-lā-davā ko rote haiñ
jaane vaale kī ye nishānī hai
dekh kar naqsh-e-pā ko rote haiñ
dard sā dard hai bharā us meñ
TuuTe dil kī sadā ko rote haiñ
rote jo aa.e the rulā ke ga.e
ibtidā intihā ko rote haiñ
rañg-o-bū ab kahāñ vo gul hī nahīñ
is chaman kī havā ko rote haiñ
hai fazā-e-chaman ġhubār-ālūd
ham mukaddar fazā ko rote haiñ
ḳhaak meñ milne ko hai sab kā husn
gul-e-rañgīñ qabā ko rote haiñ
mehñdī pis kar lahū rulātī hai
pisne vaalī hinā ko rote haiñ
nafas-e-sard ye banī bhī to kyā
mauj-e-bād-e-sabā ko rote haiñ
bāġh-e-ālam meñ is tarah be-dīd
nagis-e-nīm-vā ko rote haiñ
chhā ga.ī kaisī tīrgī un par
mehr-o-mah kī ziyā ko rote haiñ
kaam aayā na ye kisī ke bhī
ḳhizr āb-e-baqā ko rote haiñ
chup haiñ yuuñ jaise in meñ jaan nahīñ
lab-e-mojiz-numā ko rote haiñ
ab sū-e-asmāñ nahīñ uThtā
apne dast-e-duā ko rote haiñ
jaan ko le ke saath jaanā thā
is dil-e-mubtalā ko rote haiñ
de gayā dāġh-e-ġham ye kaun 'riyāz'
ham ġham-e-der-pā ko rote haiñ
sitam-e-na-rawa ko rote hain
charKH teri jafa ko rote hain
KHun rulwa rahi hai yaad-e-wafa
ek sarapa-wafa ko rote hain
is tarah aai waqt se pahle
aane wali qaza ko rote hain
ab ye us tak pahunch nahin sakta
nala-e-na-rasa ko rote hain
bah gaya aankh se lahu ho kar
dil-e-dard-ashna ko rote hain
jaan le kar gaya wo aaKHir-e-kar
maraz-e-la-dawa ko rote hain
jaane wale ki ye nishani hai
dekh kar naqsh-e-pa ko rote hain
dard sa dard hai bhara us mein
TuTe dil ki sada ko rote hain
rote jo aae the rula ke gae
ibtida intiha ko rote hain
rang-o-bu ab kahan wo gul hi nahin
is chaman ki hawa ko rote hain
hai faza-e-chaman ghubar-alud
hum mukaddar faza ko rote hain
KHak mein milne ko hai sab ka husn
gul-e-rangin qaba ko rote hain
mehndi pis kar lahu rulati hai
pisne wali hina ko rote hain
nafas-e-sard ye bani bhi to kya
mauj-e-baad-e-saba ko rote hain
bagh-e-alam mein is tarah be-did
nagis-e-nim-wa ko rote hain
chha gai kaisi tirgi un par
mehr-o-mah ki ziya ko rote hain
kaam aaya na ye kisi ke bhi
KHizr aab-e-baqa ko rote hain
chup hain yun jaise in mein jaan nahin
lab-e-mojiz-numa ko rote hain
ab su-e-asman nahin uThta
apne dast-e-dua ko rote hain
jaan ko le ke sath jaana tha
is dil-e-mubtala ko rote hain
de gaya dagh-e-gham ye kaun 'riyaz'
hum gham-e-der-pa ko rote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.