sirf itne jurm par hangama hota jae hai
sirf itne jurm par hañgāma hotā jaa.e hai
terā dīvāna tirī galiyoñ meñ dekhā jaa.e hai
aap kis kis ko bhalā suulī chaḌhāte jā.eñge
ab to saarā shahr hī mansūr bantā jaa.e hai
dilbaroñ ke bhes meñ phirte haiñ choroñ ke giroh
jāgte rahiyo ki in rātoñ meñ luuTā jaa.e hai
terā mai-ḳhāna hai yā ḳhairāt-ḳhāna sāqiyā
is tarah miltā hai baada jaise baḳhshā jaa.e hai
mai-kasho aage baḌho tishna-labo aage baḌho
apnā haq māñgā nahīñ jaatā hai chhīnā jaa.e hai
maut aa.ī aur tasavvur aap kā ruḳhsat huā
jaise manzil tak koī rah-rau ko pahuñchā jaa.e hai
sirf itne jurm par hangama hota jae hai
tera diwana teri galiyon mein dekha jae hai
aap kis kis ko bhala suli chaDhate jaenge
ab to sara shahr hi mansur banta jae hai
dilbaron ke bhes mein phirte hain choron ke giroh
jagte rahiyo ki in raaton mein luTa jae hai
tera mai-KHana hai ya KHairaat-KHana saqiya
is tarah milta hai baada jaise baKHsha jae hai
mai-kasho aage baDho tishna-labo aage baDho
apna haq manga nahin jata hai chhina jae hai
maut aai aur tasawwur aap ka ruKHsat hua
jaise manzil tak koi rah-rau ko pahuncha jae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.