tha jo sher-e-rast sarw-e-bostan-e-reKHta
tha jo sher-e-rast sarw-e-bostan-e-reKHta
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
thā jo sher-e-rāst sarv-e-bostān-e-reḳhta
ab vahī hai lāla-e-zard-e-ḳhizān-e-reḳhta
aage kachhve kī kamāñ ke qadr kyā us kī rahī
thī farīd-ābādī apnī go kamān-e-reḳhta
ḳhushk karte haiñ jo fikr-e-ḳhushk se apnā dimāġh
jānte haiñ us ko maġhz-e-ustuḳhvān-e-reḳhta
pech de de lafz o ma.anī ko banāte haiñ kulaft
aur vo phir us pe rakhte haiñ gumān-e-reḳhta
fahm meñ itnā nahīñ aatā ba-hukme-e-rā-e-past
is bulandī se ghaTī jaatī hai shān-e-reḳhta
ḳhvān-e-yaġhmā ban ke pahuñchā har kas-o-nā-kas ke haath
nitta.a-e-sultāñ jo thā maḳhsūs ḳhvān-e-reḳhta
hai rag-e-abr-e-bahārī haath meñ mere qalam
rashk-e-jannat jis se hai ye gulistān-e-reḳhta
fārsī ab ho ga.ī hai nañg us ke vāste
fārsī kā nañg thā jaise qur.ān-e-reḳhta
chāñd taare kā dupaTTā meñ diyā us ko banā
varna is zīnat se kab thā āsmān-e-reḳhta
rafta rafta haa.e us kā aur aalam ho gayā
nazm se apnī girā nazm-e-bayān-e-reḳhta
jab se ma.anī-bañdī kā charchā huā ai 'mus.hafī'
ḳhalte meñ jaatā rahā husn-e-zabān-e-reḳhta
tha jo sher-e-rast sarw-e-bostan-e-reKHta
ab wahi hai lala-e-zard-e-KHizan-e-reKHta
aage kachhwe ki kaman ke qadr kya us ki rahi
thi farid-abaadi apni go kaman-e-reKHta
KHushk karte hain jo fikr-e-KHushk se apna dimagh
jaante hain us ko maghz-e-ustuKHwan-e-reKHta
pech de de lafz o mani ko banate hain kulaft
aur wo phir us pe rakhte hain guman-e-reKHta
fahm mein itna nahin aata ba-hukme-e-ra-e-past
is bulandi se ghaTi jati hai shan-e-reKHta
KHwan-e-yaghma ban ke pahuncha har kas-o-na-kas ke hath
nitta-e-sultan jo tha maKHsus KHwan-e-reKHta
hai rag-e-abr-e-bahaari hath mein mere qalam
rashk-e-jannat jis se hai ye gulistan-e-reKHta
farsi ab ho gai hai nang us ke waste
farsi ka nang tha jaise quran-e-reKHta
chand tare ka dupaTTa mein diya us ko bana
warna is zinat se kab tha aasman-e-reKHta
rafta rafta hae us ka aur aalam ho gaya
nazm se apni gira nazm-e-bayan-e-reKHta
jab se mani-bandi ka charcha hua ai 'mushafi'
KHalte mein jata raha husn-e-zaban-e-reKHta
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(shashum) (Pg. 271)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.