hum tujhse mohabbat kar ke sanam rote bhi rahe hanste bhi rahe
hum tujhse mohabbat kar ke sanam rote bhi rahe hanste bhi rahe
Hasrat Jaipuri
MORE BYHasrat Jaipuri
ham tujh se mohabbat kar ke sanam rote bhī rahe hañste bhī rahe
ḳhush ho ke sahe ulfat ke sitam rote bhī rahe hañste bhī rahe
hai dil kī lagī kyā tujh ko ḳhabar ik dard uThā tharrā.ī nazar
ḳhāmosh the ham is ġham kī qasam rote bhī rahe hañste bhī rahe
ye dil jo jalā ik aag lagī aañsū jo bahe barsāt huī
bādal kī tarah āvāra the ham rote bhī rahe hañste bhī rahe
hum tujh se mohabbat kar ke sanam rote bhi rahe hanste bhi rahe
KHush ho ke sahe ulfat ke sitam rote bhi rahe hanste bhi rahe
hai dil ki lagi kya tujh ko KHabar ek dard uTha tharrai nazar
KHamosh the hum is gham ki qasam rote bhi rahe hanste bhi rahe
ye dil jo jala ek aag lagi aansu jo bahe barsat hui
baadal ki tarah aawara the hum rote bhi rahe hanste bhi rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.