gulab jism ka yunhi nahin khila hoga
gulāb jism kā yūñhī nahīñ khilā hogā
havā ne pahle tujhe phir mujhe chhuā hogā
sharīr shoḳh kiran mujh ko chuum letī hai
zarūr is meñ ishāra tirā chhupā hogā
mirī pasand pe tujh ko bhī rashk āye.gā
ki aa.ine se jahāñ terā sāmnā hogā
ye aur baat ki maiñ ḳhud na paas aa paa.ī
pa merā saaya to har shab tujhe milā hogā
ye soch soch ke kaTtī nahīñ hai raat mirī
ki tujh ko sote hue chāñd dekhtā hogā
maiñ tere saath rahūñgī vafā kī rāhoñ meñ
ye ahd hai na mire dil se tū judā hogā
gulab jism ka yunhi nahin khila hoga
hawa ne pahle tujhe phir mujhe chhua hoga
sharir shoKH kiran mujh ko chum leti hai
zarur is mein ishaara tera chhupa hoga
meri pasand pe tujh ko bhi rashk aayega
ki aaine se jahan tera samna hoga
ye aur baat ki main KHud na pas aa pai
pa mera saya to har shab tujhe mila hoga
ye soch soch ke kaTti nahin hai raat meri
ki tujh ko sote hue chand dekhta hoga
main tere sath rahungi wafa ki rahon mein
ye ahd hai na mere dil se tu juda hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.