Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shauq ki had ko abhi par kiya jaana hai

Rajesh Reddy

shauq ki had ko abhi par kiya jaana hai

Rajesh Reddy

MORE BYRajesh Reddy

    shauq had ko abhī paar kiyā jaanā hai

    aa.ine meñ tirā dīdār kiyā jaanā hai

    ham tasavvur meñ banā baiThe haiñ ik chāra-gar

    ḳhud ko jis ke liye bīmār kiyā jaanā hai

    dil to duniyā se nikalne pe hai āmāda magar

    ik zarā zehn ko tayyār kiyā jaanā hai

    toḌ ke rakh diye baaqī to anā ne saare

    but bas ik apnā mismār kiyā jaanā hai

    dekhnī hai kabhī ā.īne meñ apnī sūrat

    ik muḳhālif ko taraf-dār kiyā jaanā hai

    mas.ala ye nahīñ ki ishq huā hai ham ko

    mas.ala ye hai ki iz.hār kiyā jaanā hai

    ḳhvāboñ aur ḳhvāhishoñ bātoñ meñ aa kar kab tak

    ḳhud ko rusvā sar-e-bāzār kiyā jaanā hai

    ek baar meñ uktā se ga.e ho jis se

    ye tamāshā to ka.ī baar kiyā jaanā hai

    kaun paḌhtā hai yahāñ khol ke ab dil kitāb

    ab to chehre ko aḳhbār kiyā jaanā hai

    shauq ki had ko abhi par kiya jaana hai

    aaine mein tera didar kiya jaana hai

    hum tasawwur mein bana baiThe hain ek chaara-gar

    KHud ko jis ke liye bimar kiya jaana hai

    dil to duniya se nikalne pe hai aamada magar

    ek zara zehn ko tayyar kiya jaana hai

    toD ke rakh diye baqi to ana ne sare

    but bas ek apna hi mismar kiya jaana hai

    dekhni hai kabhi aaine mein apni surat

    ek muKHalif ko taraf-dar kiya jaana hai

    masala ye nahin ki ishq hua hai hum ko

    masala ye hai ki izhaar kiya jaana hai

    KHwabon aur KHwahishon ki baaton mein aa kar kab tak

    KHud ko ruswa sar-e-bazar kiya jaana hai

    ek hi bar mein ukta se gae ho jis se

    ye tamasha to kai bar kiya jaana hai

    kaun paDhta hai yahan khol ke ab dil ki kitab

    ab to chehre ko hi aKHbar kiya jaana hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now