shamen raushan hain aabginon mein
sham.eñ raushan haiñ ābgīnoñ meñ
dāġh-e-dil jal rahe haiñ sīnoñ meñ
phir kahīñ bandagī kā naam aayā
phir shikan paḌ ga.ī jabīnoñ meñ
le ke tesha uThā hai phir mazdūr
Dhal rahe haiñ jabal mashīnoñ meñ
zehn meñ inqilāb aate hī
jaan sī paḌ ga.ī dafīnoñ meñ
baat karte haiñ ġham-nasīboñ kī
aur baiThe haiñ shah-nashīnoñ meñ
jin ko girdāb kī ḳhabar hī nahīñ
kaise ye log haiñ safīnoñ meñ
ham-safīro chaman ko batlā do
saañp baiThe haiñ āstīnoñ meñ
ham na kahte the shā.irī hai vabāl
aaj lo ghir ga.e hasīnoñ meñ
shamen raushan hain aabginon mein
dagh-e-dil jal rahe hain sinon mein
phir kahin bandagi ka nam aaya
phir shikan paD gai jabinon mein
le ke tesha uTha hai phir mazdur
Dhal rahe hain jabal mashinon mein
zehn mein inqilab aate hi
jaan si paD gai dafinon mein
baat karte hain gham-nasibon ki
aur baiThe hain shah-nashinon mein
jin ko girdab ki KHabar hi nahin
kaise ye log hain safinon mein
ham-safiro chaman ko batla do
sanp baiThe hain aastinon mein
hum na kahte the shairi hai wabaal
aaj lo ghir gae hasinon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.