shahidon ka tere shohra zamin se aasman tak hai
shahīdoñ kā tire shohra zamīñ se āsmāñ tak hai
falak se balki aage baḌh ke tere āstāñ tak hai
jamāl-e-jāñ-fizā kā un ke dilkash dil-rubā jalva
zamīñ se āsmāñ tak hai makāñ se lā-makāñ tak hai
raheñ sab mutma.in gulshan meñ apne āshiyānoñ se
ki jaulāñ-gāh bijlī kī hamāre āshiyāñ tak hai
nasīhat par amal ḳhud bhī to karnā chāhiye vaa.iz
asar kyā ho ki terā va.az to nok-e-zabāñ tak hai
musalmānī faqat tasbīh-ḳhvānī hī nahīñ hamdam
musalmānī kā lambā haath shamshīr-o-sināñ tak hai
buḌhāpā fikr par aa.e to nakbat saath aatī hai
taraqqī aur azmat qaum kī fikr-e-javāñ tak hai
faqat duniyā hī us kī guuñj kā halqa nahīñ hargiz
tirī hamd-o-sanā kī guuñj gulzār-e-jināñ tak hai
maiñ huuñ paiġhām-e-haq islām merā nām-e-nāmī hai
jahāñ tak hai ye duniyā merā halqa bhī vahāñ tak hai
vahī alfāz haiñ mauzūñ agar hoñ sher hote meñ
haqīqat shā.irī ke fan kī bas husn-e-bayāñ tak hai
tavīl itnī hai zanjīr-e-asīrī is zamāne meñ
ki hāzir qaid-ḳhāne meñ ‘urūj’-e-nā-tavāñ tak hai
shahidon ka tere shohra zamin se aasman tak hai
falak se balki aage baDh ke tere aastan tak hai
jamal-e-jaan-fiza ka un ke dilkash dil-ruba jalwa
zamin se aasman tak hai makan se la-makan tak hai
rahen sab mutmain gulshan mein apne aashiyanon se
ki jaulan-gah bijli ki hamare aashiyan tak hai
nasihat par amal KHud bhi to karna chahiye waiz
asar kya ho ki tera waz to nok-e-zaban tak hai
musalmani faqat tasbih-KHwani hi nahin hamdam
musalmani ka lamba hath shamshir-o-sinan tak hai
buDhapa fikr par aae to nakbat sath aati hai
taraqqi aur azmat qaum ki fikr-e-jawan tak hai
faqat duniya hi us ki gunj ka halqa nahin hargiz
teri hamd-o-sana ki gunj gulzar-e-jinan tak hai
main hun paigham-e-haq islam mera nam-e-nami hai
jahan tak hai ye duniya mera halqa bhi wahan tak hai
wahi alfaz hain mauzun agar hon sher hote mein
haqiqat shairi ke fan ki bas husn-e-bayan tak hai
tawil itni hai zanjir-e-asiri is zamane mein
ki hazir qaid-KHane mein ‘uruj’-e-na-tawan tak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.