sham se hum ta sahar chalte rahe
shaam se ham tā sahar chalte rahe
chuur the thak kar magar chalte rahe
sañg ho jaate jo muḌ kar dekhte
uñgliyāñ kānoñ meñ dhar chalte rahe
āsmāñ thā aag patthar thī zamīñ
thī kahāñ jā-e-mafar chalte rahe
roz Duube roz ubhre ham magar
sūrat-e-shams o qamar chalte rahe
sañg-bārī yuuñ to ham par bhī huī
ham Dhake hāthoñ se sar chalte rahe
dar badar kī ḳhaak thī taqdīr meñ
ham liye kāñdhoñ pe ghar chalte rahe
ham bhī haiñ 'bilqīs' majrūhīn meñ
ham pe bhī tiir o tabar chalte rahe
sham se hum ta sahar chalte rahe
chur the thak kar magar chalte rahe
sang ho jate jo muD kar dekhte
ungliyan kanon mein dhar chalte rahe
aasman tha aag patthar thi zamin
thi kahan ja-e-mafar chalte rahe
roz Dube roz ubhre hum magar
surat-e-shams o qamar chalte rahe
sang-bari yun to hum par bhi hui
hum Dhake hathon se sar chalte rahe
dar badar ki KHak thi taqdir mein
hum liye kandhon pe ghar chalte rahe
hum bhi hain 'bilqis' majruhin mein
hum pe bhi tir o tabar chalte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.