wo mahfilen wo misr ke bazar kya hue
vo mahfileñ vo misr ke bāzār kyā hue
ai shahr-e-dil tire dar-o-dīvār kyā hue
Dasne lagī haiñ ham ko zamāne kī raunaqeñ
ham jurm-e-āshiqī ke sazā-vār kyā hue
itnī gurez-pā to na thī umr-e-dostī
ai ḳhanda-e-ḳhafī tire iqrār kyā hue
phūloñ ne baḌh ke paañv meñ zanjīr Daal dī
vāraftagī meñ mā.il-e-gulzār kyā hue
jin kā jamāl jannat-e-qalb-o-nazar rahā
vo ham-nashīñ vo yār-e-tarah-dār kyā hue
ham is tarah to yūsuf-e-be-kārvāñ na the
ai dil tū hī batā tire ġham-ḳhvār kyā hue
ummīd-e-vasl-e-yār meñ shab kaaT dī to kyā
din Dhal gayā to niiñd se bedār kyā hue
aane se un ke Dūbtī nabzeñ sambhal ga.iiñ
āsān marhale mire dushvār kyā hue
wo mahfilen wo misr ke bazar kya hue
ai shahr-e-dil tere dar-o-diwar kya hue
Dasne lagi hain hum ko zamane ki raunaqen
hum jurm-e-ashiqi ke saza-war kya hue
itni gurez-pa to na thi umr-e-dosti
ai KHanda-e-KHafi tere iqrar kya hue
phulon ne baDh ke panw mein zanjir Dal di
waraftagi mein mail-e-gulzar kya hue
jin ka jamal jannat-e-qalb-o-nazar raha
wo ham-nashin wo yar-e-tarah-dar kya hue
hum is tarah to yusuf-e-be-karwan na the
ai dil tu hi bata tere gham-KHwar kya hue
ummid-e-wasl-e-yar mein shab kaT di to kya
din Dhal gaya to nind se bedar kya hue
aane se un ke Dubti nabzen sambhal gain
aasan marhale mere dushwar kya hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.