sine ke zaKHm panw ke chhaale kahan gae
siine ke zaḳhm paañv ke chhāle kahāñ ga.e
ai husn tere chāhne vaale kahāñ ga.e
shānoñ ko chhīn chhīn ke pheñkā gayā kahāñ
ā.īne toḌ-phoḌ ke Daale kahāñ ga.e
ḳhalvat meñ raushnī hai na mahfil meñ raushnī
ahl-e-vafā charāġh-e-vafā le kahāñ ga.e
but-ḳhāne meñ bhī Dher haiñ TukḌe haram meñ bhī
jām-o-subū kahāñ the uchhāle kahāñ ga.e
āñkhoñ se āñsuoñ ko milī ḳhaak meñ jagah
paale kahāñ ga.e the nikāle kahāñ ga.e
barbād-e-rozgār hamārā hī naam hai
aa.eñ tamāshā dekhne vaale kahāñ ga.e
chhupte ga.e diloñ meñ vo ban kar ġhazal ke bol
maiñ DhūñDhtā rahā mire naale kahāñ ga.e
uThte huoñ ko sab ne sahārā diyā 'kalīm'
girte hue ġharīb sambhāle kahāñ ga.e
sine ke zaKHm panw ke chhaale kahan gae
ai husn tere chahne wale kahan gae
shanon ko chhin chhin ke phenka gaya kahan
aaine toD-phoD ke Dale kahan gae
KHalwat mein raushni hai na mahfil mein raushni
ahl-e-wafa charagh-e-wafa le kahan gae
but-KHane mein bhi Dher hain TukDe haram mein bhi
jam-o-subu kahan the uchhaale kahan gae
aankhon se aansuon ko mili KHak mein jagah
pale kahan gae the nikale kahan gae
barbaad-e-rozgar hamara hi nam hai
aaen tamasha dekhne wale kahan gae
chhupte gae dilon mein wo ban kar ghazal ke bol
main DhunDhta raha mere nale kahan gae
uThte huon ko sab ne sahaara diya 'kalim'
girte hue gharib sambhaale kahan gae
- Book : Jab Fasl-e-baharn aai thi (Pg. 221)
- Author : padm Shri Dr. Kaleem Ahmed Aajiz
- Publication : Sunrise Plastic Works, Patna (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.