shamshir meri, meri sipar kis ke pas hai
shamshīr merī, merī sipar kis ke paas hai
do merā ḳhuud par mirā sar kis ke paas hai
darpesh ek kaam hai himmat kā sāthiyo
kasnā hai mujh ko merī kamar kis ke paas hai
taarī ho mujh pe kaun sī hālat mujhe batāo
merā hisāb-e-naf-o-zarar kis ke paas hai
ai ahl-e-shahr maiñ to duā-go-e-shahr huuñ
lab par mire duā hai asar kis ke paas hai
dād-o-sitad ke shahr meñ hone ko aa.ī shaam
ḳhvāhish hai mere paas ḳhabar kis ke paas hai
pur-hāl huuñ pa sūrat-e-ahvāl kuchh nahīñ
hairat hai mere paas nazar kis ke paas hai
ik āftāb hai mirī jeb-e-nigāh meñ
pahnā.ī-e-numūd-e-sahar kis ke paas hai
qissa kishor kā nahīñ koshak kā hai ki hai
darvāza sab ke paas hai ghar kis ke paas hai
mehmān-e-qasr haiñ hameñ kuchh ramz chāhiyeñ
ye pūchh ke batāo khañDar kis ke paas hai
uthlā sā nāf-pyāla hamārī nahīñ talāsh
ai laḌkiyo! batāo bhañvar kis ke paas hai
nāḳhun baḌhe hue haiñ mire mujh se kar hazar
ye jā ke dekh nail-cutter kis ke paas hai
shamshir meri, meri sipar kis ke pas hai
do mera KHud par mera sar kis ke pas hai
darpesh ek kaam hai himmat ka sathiyo
kasna hai mujh ko meri kamar kis ke pas hai
tari ho mujh pe kaun si haalat mujhe batao
mera hisab-e-naf-o-zarar kis ke pas hai
ai ahl-e-shahr main to dua-go-e-shahr hun
lab par mere dua hai asar kis ke pas hai
dad-o-sitad ke shahr mein hone ko aai sham
KHwahish hai mere pas KHabar kis ke pas hai
pur-haal hun pa surat-e-ahwal kuchh nahin
hairat hai mere pas nazar kis ke pas hai
ek aaftab hai meri jeb-e-nigah mein
pahnai-e-numud-e-sahar kis ke pas hai
qissa kishor ka nahin koshak ka hai ki hai
darwaza sab ke pas hai ghar kis ke pas hai
mehman-e-qasr hain hamein kuchh ramz chahiyen
ye puchh ke batao khanDar kis ke pas hai
uthla sa naf-pyala hamari nahin talash
ai laDkiyo! batao bhanwar kis ke pas hai
naKHun baDhe hue hain mere mujh se kar hazar
ye ja ke dekh nail-cutter kis ke pas hai
- Book : yani (Pg. 61)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.