buniyaad-e-jahan mein kaji kyun hai
buniyād-e-jahāñ meñ kajī kyuuñ hai
har shai meñ kisī kī kamī kyuuñ hai
kyuuñ chehra-e-ḳhār shagufta hai
aur shāḳh-e-gulāb jhukī kyuuñ hai
vo vasl kā din kyuuñ chhoTā thā
ye hijr kī raat baḌī kyuuñ hai
jis baat se dil meñ halchal hai
vo baat laboñ pe rukī kyuuñ hai
mat dekh ki kaun hai parvāna
ye soch ki sham.a jalī kyuuñ hai
na the ḳhvāb to aañsū hī hote
mirā kāsa-e-chashm tahī kyuuñ hai
buniyaad-e-jahan mein kaji kyun hai
har shai mein kisi ki kami kyun hai
kyun chehra-e-KHar shagufta hai
aur shaKH-e-gulab jhuki kyun hai
wo wasl ka din kyun chhoTa tha
ye hijr ki raat baDi kyun hai
jis baat se dil mein halchal hai
wo baat labon pe ruki kyun hai
mat dekh ki kaun hai parwana
ye soch ki shama jali kyun hai
na the KHwab to aansu hi hote
mera kasa-e-chashm tahi kyun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.