ai lamho main kyun lamha-e-larzan hun batao
ai lamho main kyun lamha-e-larzan hun batao
Rajinder Manchanda Bani
MORE BYRajinder Manchanda Bani
ai lamho maiñ kyuuñ lamha-e-larzāñ huuñ batāo
kis jāgte bātin kā maiñ imkāñ huuñ batāo
maiñ ek khule bāb-e-tasavvur kī rasā.ī
maiñ kis ke liye is qadar āsāñ huuñ batāo
kis lams kī tahrīr huuñ mehrāb-e-havā par
kis lafz kā maf.hūm-e-farāvāñ huuñ batāo
kis manzar-e-isbāt ke hoñToñ kī ziyā huuñ
kis chup kī maiñ āvāz-e-farāvāñ huuñ batāo
maiñ silsila-dar-silsila ik nāma-e-raushan
kis harf-e-bashārat kā dabistāñ huuñ batāo
kis bosa-e-be-sāḳhta kā huuñ maiñ taqaddus
kis sīna-e-be-dāġh kā armāñ huuñ batāo
maiñ sub.h ke nazzāra-e-avval kī ḳhunuk bū
maiñ kis kā ye sarmāya-e-arzāñ huuñ batāo
ai lamho main kyun lamha-e-larzan hun batao
kis jagte baatin ka main imkan hun batao
main ek khule bab-e-tasawwur ki rasai
main kis ke liye is qadar aasan hun batao
kis lams ki tahrir hun mehrab-e-hawa par
kis lafz ka mafhum-e-farawan hun batao
kis manzar-e-isbaat ke honTon ki ziya hun
kis chup ki main aawaz-e-farawan hun batao
main silsila-dar-silsila ek nama-e-raushan
kis harf-e-bashaarat ka dabistan hun batao
kis bosa-e-be-saKHta ka hun main taqaddus
kis sina-e-be-dagh ka arman hun batao
main subh ke nazzara-e-awwal ki KHunuk bu
main kis ka ye sarmaya-e-arzan hun batao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.