sarhaden achchhi ki sarhad pe na rukna achchha
sarhadeñ achchhī ki sarhad pe na ruknā achchhā
sochiye aadmī achchhā ki parinda achchhā
aaj tak haiñ usī kūche meñ nigāheñ ābād
sūrateñ achchhī charāġh achchhe darīcha achchhā
ek chullū se bhare ghar kā bhalā kyā hogā
ham ko bhī nahr se pyāsā palaT aanā achchhā
phuul chehroñ se bhī pyāre to nahīñ haiñ jañgal
shaam ho jaa.e to bastī hī kā rasta achchhā
raat bhar rahtā hai zaḳhmoñ se charāġhāñ dil meñ
raftagāñ tum ne lagā rakkhā hai mela achchhā
jā ke ham dekh chuke band hai darvāza-e-shahr
ek raat aur ye rukne kā bahāna achchhā
sarhaden achchhi ki sarhad pe na rukna achchha
sochiye aadmi achchha ki parinda achchha
aaj tak hain usi kuche mein nigahen aabaad
suraten achchhi charagh achchhe daricha achchha
ek chullu se bhare ghar ka bhala kya hoga
hum ko bhi nahr se pyasa palaT aana achchha
phul chehron se bhi pyare to nahin hain jangal
sham ho jae to basti hi ka rasta achchha
raat bhar rahta hai zaKHmon se charaghan dil mein
raftagan tum ne laga rakkha hai mela achchha
ja ke hum dekh chuke band hai darwaza-e-shahr
ek raat aur ye rukne ka bahana achchha
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 43)
- Author : Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.