sar-e-sahra habab beche hain
sar-e-sahrā habāb beche haiñ
lab-e-dariyā sarāb beche haiñ
aur to kyā thā bechne ke liye
apnī āñkhoñ ke ḳhvāb beche haiñ
ḳhud savāl un laboñ se kar ke miyāñ
ḳhud hī un ke javāb beche haiñ
zulf-kūchoñ meñ shāna-kush ne tire
kitne hī pech-o-tāb beche haiñ
shahr meñ ham ḳharāb hāloñ ne
haal apne ḳharāb beche haiñ
jān-e-man terī be-naqābī ne
aaj kitne naqāb beche haiñ
merī fariyād ne sukūt ke saath
apne lab ke azaab beche haiñ
sar-e-sahra habab beche hain
lab-e-dariya sarab beche hain
aur to kya tha bechne ke liye
apni aankhon ke KHwab beche hain
KHud sawal un labon se kar ke miyan
KHud hi un ke jawab beche hain
zulf-kuchon mein shana-kush ne tere
kitne hi pech-o-tab beche hain
shahr mein hum KHarab haalon ne
haal apne KHarab beche hain
jaan-e-man teri be-naqabi ne
aaj kitne naqab beche hain
meri fariyaad ne sukut ke sath
apne lab ke azab beche hain
- Book : Gumaan (Poetry) (Pg. 63)
- Author : Jaun Elia
- Publication : Takhleeqar Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.